Ye mera pyaar hai jo bedar dikhta hai.....
Teri nigaahon main wo pyaar dikhta hai,
Jisse har ik mujhe bekaraar dikhta hai,
Doobe rehne do mujhe uski yaadon main doston,
Ki uski yaadon main hi to mujhe apna ghar-baar dikhta hai,
kaise chahun k usko mein pyaar na karun,
Aakhir usme hi to mujhe saara sansaar dikhta hai,
Meri zindagi basi hai mere khwabon main,
kyunki har khwaab main wahi ik dildaar dikhta hai,
Log puchte hai ki kyun jaga rehta hun main raat bhar,
Mein to soya rehta hun, ye to mera pyaar hai jo bedar dikhta hai.......