Ae Mere Khuda bas mujhe itna bata.........

19/11/2011 18:01

 

Ae mere khuda tu mujhe itna bata,

Kya hai ye meri kismat ka gila ya mere karmo ka sila,

nahin chahiye mujhe koi armaano ka kila,

na paison ka samandar, na khusiyon ka makaan,

bas ittila kar mujhe meri yaadon ka jahaan,

2 gaj ishq ki zameen, aur mohabbat ka aasmaan,

Ae mere khudabas mujhe itna bata,

ye hai meri kismat ka gila, ya mere paapon ka sila.....

 

Ae mere maula, Ae mere khuda,

tujhse hi hai ye andhera aur subah,

tu hi to hai mazlumon ki taakat aur zubaan,

karta hun mein tujhse ab yahi ik dua,

dur kar zamaane se ye ghum ye gunaah,

bhar jaye dilon main ishq ki sada,

ho bas har jagah tyohaar sa samaan,

tu hai mera khuda, mera mukaddar, mera jahaan,

Ae mere khuda bas mujhe itna bata,

ye hai meri kismat ka gila, ya mere ilm ka sila........

 

Do pal ki zindagi uspe bhi ye ghum ka samaan,

apni hi mehfil main laga gairon sa kaarwaan,

dhudte hai ab har dum apne hi khwabon ka pata,

Dard-e-dil ki de de tu koi maai koi dawa,

chalti hai ab to jaise bewafaai si hawaa,

aise main kya pata kon apna kon paraya,

Ae mere khuda bas mujhe itna bata,

hai meri kismat ka gila, ya mere dard ka sila,

 

Ab to dua krte hai... dua krte hai ki,

 

sabko mile mohabbat ki khusi aur khwaabon ka pata,

Chahe tu de de mujhe dard ki zameen, do gaj ka aashiyaan,

ho charo disha bulbul ka sangeet, ishq ki hawaa,

sun le tu meri bas itni si dua,

tu hi hai meri mohabbat, tu hi mera khuda,

bhale tu de mujhe ghum ka jahaan,

bas naam kr de tu kaynaat k apni khudaai ka tohfaa,

 

Ae mere khuda mujhe bas itna bata,

ye hai meri kismat ka gila, ye meri kisi galti ki saza.............. ye mere ghumon ka sila.........

    •  

 


Make a free website Webnode